Purvaiya – Shankar Mahadevan – Toofaan
Purvaiya Lyrics
Samaye Ke Panno Pe Likh Rahi Hai
Ye Zindagi Jo Kahani
Hai Kaise Mod Ismein Aane Wale
Ye Baat Kisne Hai Jani
Yahi Zindagi Hasaye
Yahi Zindagi Rulaye
Yahi Zindagi De Lori
Yahi Zindagi Jagaye
Yahi Lati Hai Andhere
Yahi Roshni Bhi Laye
Yahi Jakham Jakham Kar De
Aur Yahi Marham Lagaye
Har Pal Yaha Naya Sama
Naye Zameen Naye Aasman Hai
Kabhi To Hai Naram Hawa
Aur Kabhi Garam Aandhiyan Hai
Aandhiyan Hai
Tej Chali Re Purvaiya
Din Mein Layi Raat Re
Tej Chali Re Purvaiya
Bikhre Hai Phool Aur Paat Re
To Bas Hairan Hairan Soche Insan
Honi Hai Ab Kya Baat Re
Bas Hairan Hairan Soche Insan
Honi Hai Ab Kya Baat Re
Tej Chali Re Purvaiya
Samaye Ke Panno Pe Likh Rahi Hai
Ye Zindagi Jo Kahani
Hai Kaise Mod Ismein Aane Wale
Ye Baat Kisne Hai Jani
Wo Ankhein Jo Kahi Nahi
Unke Sapne Maine Hai Sambhal Ke Rakhe
Yaadon Ne Saari Tasveerein Aur Dil Ne
Dard Hai Kamaal Ke Rakhe
Apni Dhadkano Mein Aur Sanson Mein
Maine Jisko Rakha Hai Jinda
Uski Umeedon Ko Uske Khwabon Ko
Kaise Hone Dunga Sharminda
Raahon Mein The Biche Huye
Dehke Dehke Angare
Akash Se Patthar Barse
Ye Sapne Fir Bhi Na Haare
Fir Bhi Na Haare
Tej Chali Re Purvaiya
Duniya Lagaye Hai Ghat Re
Tej Chali Re Purvaiya
Dil Nahi Manta Maat
Re To Bas Hairan Hairan Soche Insan
Honi Hai Ab Kya Baat
Re To Bas Hairan Hairan Soche Insan
Honi Hai Ab Kya Baat Re
Tej Chali Re Purvaiya Purvaiya
Tej Chali Re Tej Chali Re
Tej Chali Purvaiya